Sunday, April 12, 2020

Prerana

Jivan ka preranadayak banna  bahot achhi baat he magar bina prerana layak banne ye kese sambhav ho skta he?
Hum dusro ko prerana de us se purva yah avsyak ho jata he ki hum dusro se prerana bhi le,

Prerana parvati se leni chahiye!

Jiske marg me anek Andhi tufan aate he magar uske swabhiman mastak ko nahi juka pate,

Prerana lahero se leni chahiye jo girkar fir uth jati he or apne lakshya tak pahoche bager rukti nahi!

Prerana badalo se leni chahiye jo samudra se jal lete he or registan me barsa deta he!

Prerana hume vrukso se leni chahiye,
Fal lagjane ke baad jinki daliya swata: juk jaya karti he!

Or

Prerana Phool  (flowers) se leni chahiye jo khilte v dusro ke liye he or Tut te v dusro ke liye he!


Jo vyakti prerana lena janta he  uska jivan bhi ek din swata: perna dayak ban jata he💼


(Balkrishna)